Abhi Na Jao Chod Kar lyricsby Mohd. Rafi &Asha Bhosle
Abhi na jaayo chhodh kar
ke dil abhi bhara nahi abhi abhi to aayi ho abhi abhi to abhi abhi to aayi ho bahaar ban ke chaayi ho Hawa zara mahek to le nazar zara bahek to le Yeh shaam dhal to le zara yeh shaam dhal to le zara yeh dil sambhal to le zara main thodi der jee to loon nashe ke ghoont pi to loon nashe ke ghoont pi to loon abhi to kuch kaha nahi abhi to kuch suna nahi abhi na jaayo chhodh kar ke dil abhi bhara nahi Sitaare jhilmila uthe Sitaare jhilmila uthe chirag jagmaga uthe bas ab na mujhko tokna bas ab na mujhko tokna na badhke raah rokna Agar main ruk gayi abhi to jaa naa paoungi kabhi yahi kahoge tum sada ke dil abhi nahi bhara jo khatam ho kisi jageh yeh aisa silsila nahi abhi nahi abhi nahi nahi nahi nahi nahi abhi na jaayo chhodh kar ke dil abhi bhara nahi Adhuri aas Adhuri aas chhodh ke adhuri pyaas chhodh ke jo roz yuhi jaayogi to kis tarah nibhaayogi ke zindagi ki raaha mein jawaan dilon ki chaha mein kayi makaam aayenge jo humko aazmaayenge bura na maano baat ka yeh pyar hai gila nahi haan yehi kahoge tum sada ke dil abhi bhara nahi Haan dil abhi bhara nahi Nahi nahi nahi nahi -- Contributed by Sharad Sharma -- Sept 06, 2003 Two stanzas that were included in the movie as a separate track not as a part of song. dukh aur sukh ke raaste bane hai sabke vaaste jo gham se haar jaaoge to kis tarah nibhaaoge khusi mile hume ke gham jo hoga baant lenge hum mujhe tum aazmaao to zaraa nazar milaao to yeh jism do sahi magar dilo mein faasla nahin jahaan mein aisa kaun hai ke jisko gham mila nahin abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bhara nahi tumhaare pyaar ki kasam tumhaara gham hai mera gham na yoon bujhe bujhe raho jo dil ki baat hai kaho jo mujhse bhi chhupaaoge to phir kisse bataaoge main koi gair to nahin dilaaun kiss tarah yakin ki tum se main judaa nahin mujhse tum judaa nahin tum se main judaa nahin mujhse tum judaa nahin abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bhara nahin --ContriButed By Adnan.I.M |